Masail
Agar Topi Ya Rumal Na Ho To Khali Sar Namaz Padh Sakte Hai?
Jawab: Topi Wagaira Rakhna Aur Pahenna Islami Tahzeeb Se Hai. Lehaza Topi Ka Iltezam Rakhe. Agar Kisi Wajah Se Topi Wagaira Na Ho Aur Namaz Ki Tahqeer Ki Niyat Na Ho, To Namaz Ho Jayegi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—