Masail

Aala Hazrat Ne Sarkar Gareeb Nawaz Ke Astane Par Hazri Kyu Nahi Di ?

Aala Hazrat Quds Sira Sarkar Gareeb Nawaz Radiallahu Ta’la Anho Se Taluq Khatir Tha, Ya Nahi. Ba Surat E Awal Baragah Khwaja Me Mausuf Ki Kabhi Hazri Kyon Nahi Hui, Niz Sarkar Khwaja Ki Madah Sarai Ki Kisi Tasnif Na Aai Jaisa Ke Sarkar Gausiyat, Apki Tarif Wa Tausif Se Unki Tasnifaat Gunj Rahi Hai Bar Surat Daum Kyon Kya Sabab Hai ? Jawab: Mujjadeed E Azam Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Quds Sira Ko Jis Tarah Tamaam Aauliyah E Kiram Se Aqeedat Wa Mohabbat Thi Isi Tarah Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Sultan Ul Hind Radiallahu Ta’la Anho Se Bhi Thi. Aur Al Malfuz Me Gareeb Nawaz Quds Sira Ka Zikr Bhi Pure Aqeedat Ke Sath Hai. Hisa Saum : Safah 47 Aur Amjer Sharif Darbar Khawaja Me Hazri Bhi Di Hai. Janaab Syed Hasan Sahab Razwi Wakil Jaura Ne Khud Mujh Se Yeh Bayan Kiya Hai. Ala Hazrat Unhi Ke Yaha Muqim The. Rah Gaya Ke Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz Ka Zikr Itni Kashrat Se Nahi Jitni Kasrat Se Hazrat Gaus E Azam Radiallahu Ta’la Anho Ka Hai. Iska Jawab Yeh Hai Ke Yeh Nisbat Ke Galba Ka Asar Hai. Chunke Aala Hazrat Par Nisbat E Qadriya Hawi Thi. Isliye Uske Jalwe Jagah Jagah Nazar Ate Hai Aur Nisbat Ka Galba Humare Aur Apke Bas Ki Baat Nahi. Batni Taur Par Jo Buzurg Jiska Mazhar Nazar Ho Jaye Bas Wo Uska Ho Gaya. Qaida Yahi Hai Jisko Naimatein Jaha Se Milti Hai. Wo Ussi Ke Goon Gata Hai. Khud Chishti Hazrat Ka Haal Yeh Hai Ke Wo Khud Sarkar Gaus E Azam Radiallahu Ta’ala Anho Ka Zikr Boht Halke Andaz Me Karte Hai. Behar Haal Yeh Iftara Hai Ke Aala Hazrat Gareeb Nawaz Se Lagao Nahi Tha Aur Waha Hazri Nahi Di. Haan, Yeh Baat Sahi Hai Ke Jo Walihana Aqeedat Sarkar Gaus E Azam Radiallahu Ta’ala Anho Se Thi Wo Kisi Wali Se Nahi Thi. Iska Sabab Nisbat Qadriya Ka Galba Hai Aur Yeh Qabil E Aitraaz Baat Nahi. Naqsbandi Hazrat Khwaja Khawzgaan Khwaja Bahdudeen Naqbandi Quds Sira Aur Soharwari Hazrat Shaikh Hazrat Shaikh Shabdudeen Sarwar Quds Sira Ka Zikr Digar Auliyah E Kiram Se Zayda Karte Hai. Iska Yeh Matlab Hargiz Nahi Ke Unhe Dusre Aauliyah E Kiram Se Aqeedat Nahi. Ya Unke Dil Me Dusre Aauliyah E Kiram Ki Taraf Se Sue Aqeedat Hai. Balke Yeh Is Batni Silsila Ki Nisbat Ka Asar Hai. Ab Agar Koi Chistiyon Se Yeh Kahe Ke Aap Logo Ko Khwaja Naqshband Se Ya Hazrat e Shahabudeen Sauharwardi Se Qalbi Lagao Nahi. To Wo Kya Jawab Denge Jo Jawab Unka Hoga Wahi Jawab Humhara Hoga. Is Qism Ki Mehmal Baatein Aajkal Ke Be Parde Likhe Ilm Zahir Wa Ilm Batini Se Kore Bataur Paisha Peeri Muridi Karne Wale Kiya Karte Hai. Agar Ilm Batin Hota To Wo Is Qism Ki Baatein Zubaan Par Nahi Laate. Fatwa E Sharah Bukhari Jild 3 Safah 462

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button