Masail

Kya Aala Hazrat Ne Ansariyon Ke Piche Namaz Padne Se Mana Farmaya?

Kya Farmate Hai Ulma E Deen Wa Muftiyan E Sharah Matin Madarja Zail Masla Mein Ke Logo Se Suna Hai Ke Imam E Ahl E Sunnat Ahmad Raza Khan Sahab Barelvi Ne Farmaya Hai Ke Jola Hai (Ansari) Ki Imamat Durusat Nahi? Kya Yeh Sahi Bat Hai? Jawab: Mujadeed E Azam Imam Ahmad Raza Quds Sira Par Yeh Bohtaan Hai Aur Iftara Hai Ke Unhone Farmaya Hai Ke Jula Hai Ki Imamat Durusat Nahi. Iske Jawab Me Yahi Kahna Kafi Hai. “Jhootho Par ALLAH Ki Laanat”. Iske Bar Khilaaf Hazrat Quds Sira Apni Namaz E Janaza Ke Barein Mein Yeh Wasiyat Farmai Ke Al Mant Ul Matar Mein Ahadees Me Warid Namaz E Janaza Ki Tamaam Duyain Darj Hai. Agar Hamid Raza Ko Wo Tamaam Duayein Yaad Ho To, Wo Meri Namaz E Janaza Padaye. Warna Amjad Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Sahab Padaye. Yani Hafiz E Millat Quds Sira Ke Ustaz Hazrat Sadrush Shariah Maulana Amjad Ali رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Sahab Quds Sira Jo Zaat Ke Ansari The Aur Aala Hazrat Quds Sira Ko Yeh Malum Bhi Tha. Khud Yeh Khadim 11 Saal Bareli Raha Aur Aala Hazrat Ki Masjid Me Imamat Karta Raha. Hazrat Mufti E Azam E Hind Ne Mujhe Imamat Ka Mansab Ata Farmaya, Jumuah, 5 Waqta Khud Meri Iqtada Mein Hazrat Mufti E Azam Quds Sira Padte Rahe. Wallahu Ta’la Allam. Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 367

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button