Masail

Shah Ki Sari Ummat Pe Lakho Salaam Me “Ummat” Se Kya Murad Hai ?

Ek Muqrir Ki Nuqta Afrini Par Shareh Bukhari Ki Girfat Masla Ek Khatib Sahab Ne Apne Dauran E Khitaab Aala Hazrat Radiallahu Ta’ala Anho Ke Is Shair Ki Tashrih Karte Hue Ke Ek Mera Hi Rehmat Me Dawa Nahi Shah Ki Saari Ummat Pe Laakho Salam Farmaya Ke Is Me Ummat Se Murad Ummat E Dawat Hai. Isme Kufaar O Mushrikin Sab Sharik Hai. Dalil Me Yeh Kaha Ke Huzur Aqdas ? Ki Wajh Se Ajaab Aam Se Sab Ko Salamati Hai. Dusra Qaul Yeh Hai Ke Hazrat Imam Husain Radiallahu Ta’la Anho Ki Shahadat Dar Asal Huzur ? Ki Shahadat Hai. Jaise Hazrat Syedna Ismail رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Allaihissallam Ki Jagah Par Dumba Zibah Huwa Tha, Lekin Zabiullah Hazrat Ismail رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Allaihissallam Kehlaye Gaye. Dono Qaul Ke Bare Me Hukm E Sharai Matlub Hai. Ummid Hai Ke Hum Sab Ki Rahnumai Farma Kar Andullah Majur Ho Gaye. Jawab: Is Shair Me “Ummat” Se Ummat E Ijabat Murad Hona Mutaeen Hai. Un Waiz Sahab Ko Yeh Bhi Zahn Me Aaya Ke Mujjadeed E Azam Aala Hazrat Quds Sira Sari Ummat Par Salam Bhej Rahe Hai Aur Kafiro Par Salam Bhejna Haram Manjurali Ul Kufr Hai. Isme Shak Nahi Ke Huzur Aqdas ? Rehamatullil Alamin Hai Aur Alamin Me Kufaar Bhi Hai Aur Yeh Haq Hai. Kafiro Ko Bhi Rehmat E Alam ? Se Kaafi Hisa Mila Hai. Wujud Khud Bohot Badi Naimat Hai. Phir Insaan Hona Bohot Badi Naimat Hai. Phir Insani Quwatein Bhi Bohot Badi Naimat Hai. Uske Elawa Zindagi Ke Lawazam Wagerah Wagerah Sab Huzur Hi Ki Rehmat Ka Shmara Hai. Magar Uske Bawajud Un Par Salam Bhejna Kis Tarah Jaiz Hai. Unke Liye Siwa E Dau E Hidyat Ke Dua E Khiar Jaiz Nahi. Phir Mujadeed E Azam Aala Hazrat Quds Sira Yeh Nahi Farma Rahe Hai Ke “Ek Mera Hi Rehmat Me Hisa Nahi”. Balke Farma Rahe Hai Ke “Rehmat Me Dawa Nahi” Dawa Ka Matlab Hota Hai Haq Sabit Hona. Agar Che Karim Aqa E Wada E Ki Bina Par Haq Hona Aur Baat Hai, Hisa Hona Aur Baat Hai. Koi Sakhi Apne Dushman Ko Bhi Kuch De De To Use Bhi Uske Karam Se Kuch Hisal Mil Jayega. Lekin Dushman Ka Koi Haq Us Karim Par Nahi. Behar Hal Is Sher Me “Ummat” Se Murad “Ummat E Dawat” Ka Qaul Karna Khata Hai. Unhe Bhi Is Se Elaniyah Ruju Karna Lazim Hai. 2) ALLAH Ta’la Waizo Ke Ishtraak E Ma’na Se Ummat Ko Bachaye. Waiz Ke Liye Alim Hona Shart Hai, Lekin Ab Waiz Nira Karobar Ho Gaya Hai. Har Charb Zuban Waiz Ban Bethha Hai. Ayat Ke Ma’ni Ko Tod Marod Kar Ahadees Ke Mazmin Ko Rado Badal Karke Ulma Ke Irshad Ko Tod Marod Kar Lachhe Dar Alfaaz Me Bayan Karte Hai. Aur Awam Aise Hi Waizin Ko Sar Aankho Par Bithhate Hai. Waqiah Yeh Hai Ke Hazrat Shah Abdul Aziz Mohdeesh Dehlvi Rehamtullah Alaih Ne “Sira Ulshahdatein” Me Likha Hai Ke Hazrat Imam Hasan Mujtaba Sar Se Lekar Kamar Tak Aur Syedna Imam Husain Radiallahu Ta’la Anho Kamar Se Lekar Talwe Tak Apne Jade Karim Alaih Sallato Taslim Ke Mushabah They. Bade Shehzade Ko Shahadat E Khafi Mili Aur Chhote Shahzade Ko Shahdat E Jali. Is Tarah Dono Shahzado Ki Shahadat Ke Zariyah Huzur Aqdas ? Ko Shahdat E Khafi Wa Jali Dono Hasil Hui. Unhone Ne Dono Shahzado Ki Shahadat Ko Bamanzila Shahadat E Huzur Qarar Diya. Aur Waiz Ne Usko Sirf Hazrat Imam E Husain Radiallahu Ta’la Anho Par Fit Kiya, Isi Ko Ishtrak E Ma’na Kahte Hai Ke Kuch Bayan Kiya Jaye, Kuch Chordh Diya Jaye. Agar Che Mujhe Hazrat Shah Abdul Aziz Sahab Ki Nuqta Afrini Par Kalam Hai Kyon Ke Us Se Lazim Ata Hai Ke Huzur Aqdas ? Apne Baz Kamalat Ke Usul Me Dusro Ke Mohtaaz The. Isi Tarah Waiz Ne Jo Yeh Bayan Kiya Ke Syedna Hazrat Ismail رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Allaihissallato Taslim Ki Jagah Dumba Zibah Ho Aur Zabiullah Wo Kahlaye. Wajh Yeh Nahi. Zabiullah Kahlane Ki Asal Wajh Yeh Hai Ke Syedna Ismail رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Allaihissallato Taslim Ke Bas Me Zibah Hone Ke Liye Jitna Tha Wo Sab Kar Diya, Apni Taraf Se Zibah Hone Me Koi Daqiqa Faroguzashat Nahi Kiya. Waizin Se Is Qism Ki Galtiyah Aksar Hoti Rahti Hai, Isliye Hadees Me Farmaya Gaya : Waiz Nahi Kahta Magar Ameer Ya Jise Ameer Ijazat De, Hukm De Ya Utarne Wala. Behar Haal Jab Hazrat Se Shah Abdul Aziz Mohdeesh E Dehlvi Rehamtullah Allay Ne Wo Likha Aur Us Par Aitmaad Karke Waiz Ne Bayan Kiya To Us Se Koi Mawakhza Nahi. Agar Che Adha Hi Bayan Kiya. Wallahu Ta’la Allam. Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 470

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button