Masail

Ala Hazrat Salehin Ke Imam They. Unpar Par Salaam Padna Kaisa ?

Ek Shakhs Kahta Hai Ke Ala Hazrat Azim Ul Barkat Kon Hote Hai, Kaha Se Aaye Hai Jo Unpar Salam Padha Jaye Aur Mujahid E Millat Rehmatullah Allay Kaun Hai Aur Kaha Se Aye Hai Jo Ke Un Par Salam Pada Jaye. Aur Kahta Hai Ke Aajkal Sunni Log Ek Nayi Dhum Macha Rakhe Hai Ke Subah Ko Salam Padte Hai, Jumuah Ke Baad, Eid Ke Baad Salam Padte Hai. Khud Mazkura Shakhs Masjid Me Salam Padte Waqt Kuch Na Kuch Kam Ke Bahane Fauran Masjid Se Bahar Chala Jata Hai. Phir Salam Khatam Hone Ke Baad Masjid Ke Andar Aa Jata Hai. Is Qism Ke Alfaz Kahne Wale Aur Is Qism Ka Mardud Aqeedah Rakhne Wale Ke Liye Shariat E Islamiyah Me Kya Hukm Hai. Sharai Dalail Se Nawaze. n(Ala Hazrat Aur Mujjahid E Millat Ke Naam Azim Ul Barkat Aur Rehamtullah Allaysallam Maine Likha Hai, Us Shakhs Ki Zubaan Se Nahi Suna) Jawab: Uske Jumle Se Zahir Ho Raha Hai Ke Yeh Shakhs Ulma E Ahl Sunnat Wa Akabir E Ahle Sunnat Se Sakht Adawat Rakhta Hai. Balke Tamaam Ahle Sunnat Se Bugz Rakhta Hai. Niz Mutrshah Hota Hai Ke Uske Dil Me Huzur Aqdas ? Ki Azmat Nahi, Warna Durood O Salam Se Chidta Nahi, Usko Dhoom Machaane Se Tabir Nahi Karta. Yeh Bhi Us Par Qarina Hai Ke Yeh Andar Andar Bad Mazhab Hai Aur Malum Hota Hai Ke Bohot Bada Jahil Hai. Balke Ajhal Hai. Altiyat Me Hai : ? Hum Par Salam Ho Aur ALLAH Azwajjal Ke Tamaam Naik Bando Par. Yaqinan Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Quds Sira Sirf Saleh عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Hi Nahi They, Balke Imam They Aur Hai Aur Mujahhid E Millat Rehmatullah Allay Tamaam Salehin Nahi To Karodo Salehin Ke Imam They. Isliye Atiyat Ke Mutabiq Un Sab Par Salam Padha Jata Hai. Wallahu Ta’la Allam. Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 395 POSTED BY:- ?

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button