Qurbani ka gosht gair Muslim ko dena kaisa hai quran or hadees se Reference hona chahiye.
Kyuke humara padosi qafir hai to akhlaq kab batayenge hum zaid ka kehna hai. Zaid ka kehna quran or hadees me hai ke padosi ka haq ada kiya jaye. Jawab: Qurbani agar kisi faqeer e ki ho to uska gosht kisi kafir ko dena jaayez ahi. Agar dega to utne gosht ka tawaan dena lazim hoga aur agar Gani e Qurbani ki hai to gosht ka use ikhtiyaar hai. Magar mustahab ye hai ke uske 3 hisse karle ek hissa apne liye, ek azeezo ke liye aur ek tasadduq ke liye. Yahan ke kuffar ko dena in teeno mado’n se kharij hai. Lehaza unhe dena khilaf e mustahab hai aur apne musalman bhai ko chhor kar dena himaaqat hai. Yahan ke kafiro ko gosht dena jaayez ahi, wo khas musalmano ka haq hai. Allah Ta’ala Ka irshad hai “tayyib Cheezein taiyyeb logo ke liye aur Taiyyeb log Taiyyeb cheezo ke liye” (26/24) Phir bhi agar koi apni jihaalat se dega to qurbani me koi harj a karega. Wa-Allahu Ta’ala A’lam n(Mulakkhasan Fatawa Razvia) n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—