Qurbani Karne Ki Kya Fazilat Hai?
Huzur sallallahu Alahih waalihi wasallam farmate hai ke Qurbani karnewale ko Qurbani ke Jaanwar ke har baal ke badle me ek eki milti hai. Jisne khush dili se sawab paane ke liye Qurbani ki to wo jahannam ki aag se hijaab (parda/rukaawat ) ho jayegi. Aey Fatema Apni Qurbani ke paas Maujood Raho kyun ke uske khoon ka pehla Qatra girega to Tumhare sare gunah maaf kar diye jayenge. Jisko bhi Qurbani karne ki wus-at (taaqat) ho or fir bhi wo Qurbani a kare to hamari Eidgaah ke Qarib a aaye. QARZ LE KAR KARE-AGAR WAAJIB HAI TO Agar kisi par Qurbani Wajib hai Aur us Waqt uske paas Rupaye ahi to udhaar lekar, ya koi chiz bech karke Qurbani kare. n(Fatawa-E-Amjadiya-Jild,3, Safa,315) Hazrate Ahmed bin Ishaaq Rehmatullah alahi kehte hain ke, Mera ek gharib bhai tha, Gharib tha fir bhi Allah ki Raza ke liye Qurbani karta tha. Uske marne ke baad maine khwaab dekha ke qayamat aa gayi or afsa afsi ka maahol hai. Maine dekha ke Mera bhai Ek ghode par sawaar hai or dusre ghode bhi uske saath hai. Maine poocha ke Allah ki baargah me tera kya maamla raha to wo bola ke Ek budhiya ko ek dirham dene ki wajah bakhsh diya. To maine poocha ke ye sab ghode ? To kehne laga ke Ye sab meri Qurbaniyan hai or jis par mein baitha hu ye meri pehli Qurbani hai. To maine poocha ke ab kidhar jaa rahe ho. To bola ke, JANNAT ki taraf. Aur meri azron se gayab ho gaya. Ye to afli Qurbani ka ajar o sawab hai Wajib ka aur zyada sawab hoga Aur Ek dusra pehlu ye bhi pata chala ki Jo log Waajib hone ke baad bhi Qurbani ahi karte unke liye bhi is mein ibrat O raghbat hai, Ke Wo kitni badi saadat se mehroom ho rahe hain or gunahgaar bhi ho rahe hain. DURRATUN NAASIHIIN TIRMIZI AL MO JAMUL KABIR AS-SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI ABLAQ GHODE SUWAAR POSTED BY Mehfil E Gulam E Mustafa ﷺ ?
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—