Masail
Ek Saksh Dhadi Mundwata Hai Aur Photo Graphy se Parhez Karta Hai.
To Sharai Dhadi Rakhna Photo Graphy se Zyada Zaruri Hai, Ya photo Graphy se Bachna Zyada Zaruri hai? Dono Me Se Konse Amal per Pehle Dhyan Aur Gaur o Fikr Ki Jayegi? Rehnumai Farmaye. Jawab: Kisi Gunah Ko Kamtar Samajhna Bahot Bada Gunah, Balke Kufr Bhi Ho Sakta Hai. Har Gunah Ke Kaam Se Bachna Laazim Hai, Is Tarah Ki Baatein Na Ki Jaayein Ke Mai To Us Se Kam Wala Gunah Karta Hu Baher Haal! Tasweer Banana Banwana Haraam Sakht Haraam. Jabke Dhadi Baar Baar Katwana, Yaani Iski Aadat Banana Bhi Haraam Hai. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—