Rafzi firqa Maa Ayesha Siddiqua ??? ???? ????? ???? Ki Shaan me Gustakhi karte Hai.
Maa Ayesha Siddiqua Ki Shaan E Aqdas Pe Roshani Daale Aur Hame Bhi Apne Ilm se Nawaze. Jawab: Ummahaat ul Mo’mineen Me Hazrat Aaisha Siddeeqa hi aisi khatoon hain jinki wilaadat Islami Maahaul me hui aur Islami Sheer se apki parwarish hui. Aur aphi wo Tayyiba o Taahira hain ke jo Huzoor ﷺ ke ilawa kisi aur ke Nikah me a raheen. Aur Huzoor ﷺ e is Nikah ko Min Jaanibillah qarar diya tha. Bukhari Sharif me hai Huzoor ﷺ e irshad farmaya. n”Mardo me bahot se log Takmeel ke darje ko pohche, magar Aurato ke Andar sirf Maryam bint Imran Aur Aasiya Zawja e Far’aun hi takmeel ko pohchi, aur Aaisha ko to sab aurato par aisi fazeelat hai jaise Sareed ko sab khaano par hai”. Bukhari Sharif hi me hai ke Huzoor ﷺ e irshad farmaya ke. n”Ek Aaisha hi hai ke mai uske bistar pe hota hu to us waqt bhi wahi ka uzool hota hai. Magar dosri Azwaaj ke bistaro par kabhi aisa a hua”. Isi liye Huzoor e Aqdas ? e Saiyyeda Fatimatuzzahra se farmaya. n”Pyari beti! Jisse Mai Muhabbat rakhta hu, kya tum usse muhabbat ahi rakhti ? Arz kiya zarur karti hu. Irshad farmaya ke tu bhi Aaisha se Muhabbat rakha kar”. Hazrat e Aaisha siddeeqa ke Kamalaat e Aaliya par ye Hadees bhi dalalat karti hai ke Nabi ﷺ ? e Hazrat Aaisha se Farmaya. n”Ye jibr’eel hain aur tum ko salam kehte hain, Hazrat Aaisha e salam ke jawab me Farmaya un par bhi Allah ki salamati o Rahmat ho”. Gazwa e Badr me jis ishan ke Neeche Malaaika e khidmat e islam ada ki aur jis ishan par Allah ki Awwaleen Nusrat o Fatah Nazil hui. Wo Nishan Hazrat e Aaisha ki Orhni ka banaya gaya tha. Ye baat bhi Apki Badi Fazeelat ko zahir karti hai. Ek Gazwa me apki sawari kuch der se camp me pohchi to us par Munafiqeen e unki shan e paak me gustakhaana kalimaat kahe, jinse lateef o sinf e azuk ke liye aisa mauqa sakht pareshan kun hota hai. Lekin us waqt bhi unki quwwat e imaniyah aur paaki e fitrat ki ajeeb shan azar aayi. Khud farmati hain ke mujhe apni paak daamani ki waja se yaqeen e kamil tha ke meri taharat o pakeezgi ke baare me Huzoor ﷺ ko khwab me bata diya jayega. Magar iska mujhe gumaan bhi a tha ke mere haq me wahi e Ilaahi ka uzool hoga. Ulama e kiram farmaate hain ke Hazrat Yusuf عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Alaihissalam ko doodh peete bachche aur Hazrat Maryam ko Hazrat Isa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Alaihissalam ki gawahi se logo ki badgumani se ijaat bakhshi aur jab Hazrat e Siddeeqa Aaisha par bohtaan utha to khud unki paak daamani ki Shahadat Allah ? e di aur 17 aayatein aazil Farmayi. Agar wo chahta to ek ek darakht aur patthar se gawahi dilwata. Magar manzoor ye hua ke Mahboba e Mahboob ki Tahaarat o paak daamani par khud Allah ? shahadat de aur unki izzat o imtiyaz padhaaye. Quran e paak utra Maula e kareem ? e Siddeeqa ki usrat farmaayi, be qusoori zahir farmaayi, unko Taiyyeba Thehraya aur khabar di ke Magfirat aur Rizq e kareem unhi ke liye hai. Garz ye wo zaat hai ke jinki pakeezgi aur pak daamani ki awaz se zameen o Asman goonj uthe aur wahi utri jiski qiyamat tak Namazo me aur Mehraabo me tilawat ki jayegi. Phir jo Tafaqqoh unho e deen me paya aur jo tableeg unho e ummat ko farmayi aur Ilm e Nubuwwat ki isha’at me jo koshishein unho e farmaayi aur jo ilmi khazane aur ganjeene unho e farzandaan e ummat e marhooma ko pohchaaye. Wo aisi fazeelat hai, jo azwaaj e mutahharat me se kisi dosri ummul momineen ko aseeb ahi. Kutub e ahadees me apki riwayat ki Ta’dad 2210 hai, fatawa e sharaiyyah aur ilmi daqaaiq ka hal aur dosri ilmi khidmaat ka shumar inke ilawa hai. Jo Hazrat e Aaisha Siddeeqa Taiyyeba Taahira ki shan me gustakhiyaan karte hain wo bil waasta Huzoor e Aqdas ? ke Gustah hain Aur apki paaki Ka to Rab e kareem ? e eylaan farmaya. Phir unpar keechad uchaalna Aayaat e kareema ko jhutlana hua, jo ke sakht hukm rakhta hai. Allah ? Hame Aise Shareero ke shar se bachaaye Aur Ahl e Bait e At’haar o jumla sahaba e kiraam ka adab o Ta’zeem hamare dilo me Jaaguzeen farmaaye. ? n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—