Shuhada E Karbala Ki Yaad Me Matam Karna Aur Noha Karna Kaisa Hai?
Jawab: A’ala Hazrat Farmate Hai: Matam Karna Chhati/Sina Pitna Haraam Hai. Neez Matam O Noha Muharram Ho, Ya Ghair Moharram Mutlaqan Haraam Hai. ?23 ?407? ?24 ?496 Rasool ALLAH Irshad Farmate Hai: Mai Bezaar Hun Usse Jo Bhadra Kare Aur Chillakar Roye Aur Gireban Chak Kare. Imam Bukhari Wa Muslim Ne Hazrat E Abu Musa عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ Ash’ari Ke Hawale Se Ise Riwayat Kiya. Bhadra Kisi Ke Marne Par Hinduo’n Ki Tarah Bataur-E-Sog Sar Mundana Rasool ﷺ ALLAH Ne Irshad Farmaya: ALLAH Az’zawajal Jahannam Me Noha Karne Waalo Ki Do Safe’n Banayega Ek Saff Jahannam Ke Dahini (Right) Janib (Side) Aur Dusri Saff Jahannamiyo Ke Baee (Left) Janib. Wo Jahannamiyo Par is Tarah Bhonkte Honge, Jaise Kutte Bhonkte Hai. ? 30
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—