Masail
Suna Hai 10 Muharram Ko Ghar Me Chulha Jalana, Roti Pakana, Jhadu Lagana Nahi Chahiye
Kya Ye Baat Durust Hai? Jawab: A’ala Hazrat Farmate Hai: Ye Baat Sog/Gham Hai Aur Sog Haraam Hai. n( ?24 ?488) To Maloom Hua 10 Muharram Ashura Ke Roz Ghar Me Chulha Jala Kar Roti Saalan Waghaira Paka Bhi Sakte Hai, Kha Bhi Sakte Hai Aur Dusro Ko Khila Bhi Sakte Hai. Neez Ghar Ki Safai Bhi Kar Sakte Hai. Jhadu Pochha Waghaira Bhi Laga Sakte Hai. Hamara Islam 10 Muharram Ko In Kaamo Se Mana Nahi Karta. ALLAH Ta’ala Ghalat Fehmiyo Se Tamaam Musalmasno Ko Bachaye n(Aameen)
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—