Masail
Farz Namaz Ke Alawa Aur Kis Waqt Me Azaan Di Jaati Hai ?
Jawab: Haan, Farz Namaz Ke Alawa Aur Is Waqto Me Azaan Di Jaati Hai 1) Bachche Aur Magmoom (Fikrmand) Ke Kaan Me. 2) Mirgi Waale Gazabnaak Aur Badmijaaz Aadmi, Ya Jaanwar Ke Kaan Me. 3) Saqt Ladayi Aur Aag Lagne Ke Waqt, 4) Mayyat Ko Dafan Karne Ke Baad, 5) Jin Ki Sarkashi Ke Waqt Aur 6) Jungle Me Jab Raasta Bhool Jaaye Aur Koyi Bataane Wala Na Ho, Inn Surathon Me Azaan Kehna Mustahab Hai! Bahare Shariyat, Shaami Jild Awwal Safa 258
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—