Masail
Fajr Namaz Ke Waqt Kitni Rakat Namaz Padhi Jaati Hai ?
Jawab: Kul Chaar (4) Rakat. Pehle Doo (2) Rakat Sunnat. Phir Doo (2) Rakat Farz. Fajr Namaz Ki Doo (2) Rakat Sunnat Ki Niyat Kis Tarah Ki Jayegi ? Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Sunnat Fajr Ki ALLAH Ta?ala Ke Liye Sunnat Rasoolullah ﷺ Ki Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar! Fajr Namaz Ki Doo (2) Rakat Farz Ki Niyat Kis Tarah Ki Jayegi ? Niyat Ki Maine Doo (2) Rakat Namaz Farz Fajr Ki ALLAH Ta?ala Ke Liye (Muqtadi Itna Aur Kahe Peeche Iss Imam Ke) Muh Mera Taraf Kaaba Shareef Ke Allahu Akbar!
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—