Masail
Namaz me Farz Aur Sunnat Ke Chooth Jaane Se Sajda e Sahu Wajib Hota Hai Ya Nahi ?
Jawab: Namaz me Farz Chooth Jaane Se Namaz Fasid Ho Jaati Hai. Sajda e Sahu Se Uski Talafi Nahi Ho Sakti. Isiliye Phir Se Padhna Padhega Aur Sunnat wa Mustahab, Jaise Ta’aouz Tasmiya, Sana, Aameen Aur Takbeerat Inteqal Ke Chooth Jaane Se Sajda e Sahu Wajib Nahi Hota. Balki Namaz Ho Jaati Hai. Magar Dobara Padhna Mustahab Hai.
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—