Masail
Kaunse Namazo Ki Qaza Zaroori Hai ?
Jawab: Farz Namazo Ki Qaza Farz Hai. Witr Ki Qaza Wajib Hai Aur Fajr Ki Sunnat Agar Farz Ke Sath Qaza Ho Aur Zawal Se Pehle Padhe. Toh Farz Ke Sath Sunnat Bhi Padhe Aur Zawal Ke Baad Padhe. Toh Sunnat Ki Qaza Nahi Aur Zohar Yaa Juma Ke Pehle Ki Sunnatein Qaza Ho Gayi Aur Farz Padh Li. Agar Waqt Baqi Hai, Toh Padhe Aur Afzal Yeh Hai Ki Pichle Sunnatein Padhne Ke Baad Unko Padhein.
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—