Masail
Agar Namaz Ki Niyat Ke Alfaaz Bhool Kar Kuch Ke Kuch Zuban Se Nikal Jaaye Toh Namaz Hogi Ya Nahi ?
Jawab: Niyat Dil Ke Pakke Iraade Ko Kehte Hai. Yaani Niyat Me Zuban Ka Ayetbaar Nahi. Toh Agar Dil Me Maslan, Zohar Ka Irada Kiya Aur Zubaan Se Lafz e Asr Nikal Gaya. Toh Zohar Ki Namaz Ho Jaayegi!
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—