Masail
Aala Hazrat Ko Mirat E Risalat Wa Zinnat E Risalat Kehna Kaisa Hai ?
Jawab: Mujjadeed E Azam Quds Sira Ko Mirat E Risalat Kehne Me Koi Harj Nahi. Hadees Me Hai: Aur Waris Apne Mauras Ka Aainadaar Hota Hai. Zinnat E Risalat Kehne Me Bhi Koi Harj Nahi. Zinnat Ka Muzin Ba Se Afzal Hona Lazim Nahi. Balke Umuman Zinnat Muzin Ba Se Kam Rutba Ki Hoti Hai. Jaise Taaj Badhshah Ki Zinnat Hai, Magar Badhshah Se Afzal Nahi. Libaas Insaan Ki Zinnat Hai, Magar Insaan Se Afzal Nahi. Quran Hakim Me Farmaya Gaya : Wallahu Ta’la Allam. Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 395
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—