Masail

Yani Aye Imaan Walo’n Jab tum Namaz Padhne Ka Irada Karo

To Apne Muh Aur Kohniyo’n Tak Dono Haatho’n Ko Dho Aur Saro’n Ka Masah Karo Aur Tukhno Tak Pao’n Dho. * * . Ye Quran shareef ki ayat hai. Isme sar ka masah ahi, balki saro ka masah likha hai. Yani tamam saro ka, yani pure sar ka masah karna hai. Aur Quran shareef me jo hukm hota hai, wo farz hota hai. Yani pure sar ka masah karna farz hai a? To phir masail me aisa kyu likha hai ke chothai sar ka masah farz hai. Jawab: Jisne bhi ye eteraz kiya wo ya to jaahil hai, ya pareshan karna chahta hai. Yahan par khitaab tamam iman walo se hai aur jab jama (plural) Istemal kiya gaya. To sar ki bhi jama Istemal ki gayi, yaani aye iman waalo apne saro ka masah karo. Ab reh gayi baat chauthaai sar ki, to iske dalaail kutub e fiqh me mufassal mazkoor hain. To jo chahe us janib ruju kare Aur Acche ustaz ke paas Taleem hasil kare. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button