Masail
Kya Jis Par Gusl Farz Ho, Woh Masjid Mein Nahi Ja Sakta?
Jawab: Jis Par Gusl Farz Ho Usey Masjid Ke Us Hisse Mein Jana Haram Hai Ki Jo Dakhil e Masjid Hai. Yaani Namaz Ke Liye Banaya Gaya Hai. Aur Woh Hissa Ki Jo Fanaye e Masjid Hai. Yaani Istinja Khana, Gusl Khana Aur Wazu Gaah Wagairah Toh Us Jagah Jane Mein Koi Harj Nahi. Ba’sharte Ki Unmein Jane Ka Rasta Dakhil e Masjid Se Hokar Na Guzarta Ho!
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—