Aqaid

Agar Koi Sunni Koi Badmazhab Ke Piche Namaz Padha Raha Hai. Kyuki Iski Majburi Hai. Kyu Ke Wo Hazar Badmazhab Me Akela Sunni Hai. To Wo Niyat Me ?PICHE IS IMAM KA? Nahi Bolta Hai Aur Farz Namaz Ka Niyat Karke Namaz Padhta Hai. To Uske Piche Iska Namaz Hoga Ke Nahi?

Jawab: Apke Sawaal Hi Me Confusion Hai. Jab Usne Apni Tanha Namaz Parhne Ki Niyat Ki Hai. To Ab Us Badaqeeda Ke Peeche Namaz Ka Kya Ta?Lluq? Baher Haal! Aisi Jagah Jahan Badmazhabo Ki Kasrat Ho, To Unki Jamaat Ke Waqt Kahin Chala Jaaye. Istinja, Ya Wazu Ke Bahaane Chala Jaaye. Agar Wo Bhi Na Ho Saka, To Wahin Zameen Par Baith Jaaye Jaise Ma?Zoor Ho. Agar Wo Apni Tanha Namaz Ki Niyat Karega, To Ruku Sujood Me Farq Aayega. Agar Imam Ka Intezar Karega, To Isme Wajibaat E Namaz Ke Tark Hone Ka Waazeh Khadsha Hai. Lehaza Agar Wo Aam Insan Hai Aur Koi Bahana Bhi Nahi Kar Sakta Aur Unke Sath Khada Na Ho. To Fitne Ka Andesha Ho, To Wo Begair Niyat E Namaz Hath Baandhe Khada Ho Jaaye Aur Azkaar Karta Rahe Aur Unke Sath Uthak Baithak Kar Le. Dil Me Zara Bhi Ye Khayal Na Laaye Ke Mai Is Imam Ki Iqteda Kar Raha Hu. Baad Me Apni Namaz Parh Le. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button