Masail
Aisa Shakhs (Aadmi) Nikah Padhai Jisko Dhadi Na Ho Aur Shariyat Ka Paband Naho.
To Us Aadmi Se Nikah Padhana Kaisa Hai. Jabke Hafiz Sahab Hone Ke Baad Wo Nikah Padha Rahe. Qazi Hai Shaher Ke. Jawab: Jo Khud Paband E Shara Na Ho Wo Shaher Ka Qazi Kaise Ho Sakta Hai? Baher Haal Agar Waaqai Uski Darhi Hadd E Shara Se Kam Hai To Us Se Nikah Na Parhwaya Jaaye. Aur Sunni Sahih Ul Aqeeda Gair E Fasiq Alim E Deen Se Nikah Parhwayein. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—