Aqaid

Auliya Allah Ke Mazaar paak Par Urs ke Mouke Par Ghusl Diya Jata Hai Iski Sharai Dalil Kya Hai

Mazaar Par Ghusl Dena Kaha se Sabit Hai. Jawab: Mazaar shareef ka Ghusl mazaar shareef ko dhona hai. Ye saaf safaai hai ise adaban ghusl kahte hai. Safaai ko isf imaan farmaya gaya hai aur safaai ke fawaaid se kisi ko inkar ahi. Magar wahabi deobandi ko kya kahiye ke safaai ke mutalliq quran hakeem me aayatein bhi hain aur bakasrat ahadees bhi. Magar qurani aayat bhi azar andaaz aur ahadees se bhi bekhabar aur auliya o ambiya se dushamani me itni moti moti daleel bhi azar a aai aur kyu azar aati. Auliya e kiraam o ambiya e kiraam ki dushamani me andhe ho chuke hai. To andho ko ambiya o auliya ki azmato ke dalaail azar ahin aate. Log apne ghar makan dukan ko dhote hain uski safaai karte hain us waqt daleel ki baat ahin aati aur jahan auliya kiram o ambiya kiram ki isbat ki baat aai daleel talab ki jaati hai. Ka’ba shareef ka bhi ghusl hota hai iski bhi hai koi daleel? Jab Allah Ta’ala aur uske rasool ﷺ e mana ahi farmaya to ye log kaun hote hain mana karne wale. Allah Ta’ala unke makr o fareb se bachaaye ? n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button