Aqaid

Eid Milad un Nabi Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Mauqe Par Juloos Kyu Nikalte Hai?

Jawab: Aaqa Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Liye Juloos Nikalna Koi Nayi Baat Nahi Hai. Balki Sahaba E Kiraam Radi’Allahu Anhum Ne Bhi Juloos Nikala Hai. Sahih Muslim Ki Hadees Mein Hai Ki Jab Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Hijrat Karke Madina Sharif Tashreef Le Gaye Toh Logo Ne Khoob Jashn Manaya. Toh Mard wa Aurat Apne Gharo Par Chadh Gaye Aur Naara-e-Risalat Lagate Aur Kehte Yaa Muhammad ﷺ Yaa Rasoolallah! Yaa Muhammad ﷺ Yaa Rasoolallah!. Sahih Muslim, Hadees: 7707 Ek Riwayat Mein Aata Hai Ki Hijrat e Madina Sharif Ke Mauqe Par Jab Huzoor E Aqdas Sallallahu Alaihi Wassallam Madina Sharif Ke Kareeb Pahunche. Toh Buraida Aslami Apne Sattar Sathiyon Ke Sath Damane Islam Se Wabasta Hue Aur Arz Kiya Ki Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Madina Sharif Mein Aapka Dakhila Jhanda Ke Sath Hona Chahiye, Phir Unhone Apne Amame Ko Neza Par Daal Kar Jhanda Banaya Aur Huzoor Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Aage Aage Rawana Huwe. Wafaul Wafa, Hissa: 1, Page: 243 —

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button