Haiz Ke Baad Humbistari (Sohbat / Jima / Mubashrat) Kab Jayez Hai?
Jawab: Hamare Imam, Imam E Azam Abu Hanifa Radi Allaahu Ta?ala Anhu Ke Nazdik Aurat Ko Haiz Ka Khoon (10) Das Dino Ke Baad Aana Band Ho Jaye To Ghusl Se Pahle Bhi Sohbat Karna Jayez Hai. Lekin Behtar Yah Hai Ke Aurat Ghusl Karle Uske Baad Hi Mubasharat Ki Jaye. Hadis: Hazrat Saalim Bin Abdullaah Aur Hazrat Sulemaan Bin Yasir Radi Allaahu Ta?ala Anhuma Se Haiz Waali Aurat Ke Baare Me Puchha Gaya Ki. n?Kya Uska Shauhar Use Paak Dekhe To Ghusl Se Pahle Sohbat Kar Sakta Hai Yaa Nahi Dono Ne Jawab Diya. n?Na Kare Yahaan Tak Ki Wah Ghusl Kar Le.? Mo?attaa Imam Maalik, Jild No 1, Baab No 26, Hadis No 90, Safa No 79 Masala: Das (10) Din Se Kam Me Khoon Aana Band Ho Gaya Ho To Jab Tak Aurat Ghusl Na Kare Sohbat Jayez Nahi. Bahaare Shariyat, Jild No 1, Hissaa No 2, Safa No 47 Masala: Aadat Ke Din Pure Hone Se Pahle Hi Haiz Ka Khoon Aana Band Ho Gaya To Agarche Aurat Ghusl Karle Sohbat Jayez Nahi. Maslan Kisi Aurat Ki Haiz Ki Aadat Chaar Din Wa Chaar Raat Thi Aur Is Baar Haiz Aaya Teen Din Wa Raat To Chaar Din Wa Raat Jab Tak Pure Na Ho Jaye Sohbat Jayez Nahi. Bahare Shariyat, Jild No 1, Hissaa No 2, Safa No 47
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—