Masail

Halala Kaise Ada Hota Hai. Agar Usi Biwi Ko Jisko Talaq De Diya Hai. Use Wapas Nikah Mein Lena Hai To Kya Karna Hoga?

ANSWER 3 Talaq Dene Ke Ba?d Usi Shauhar Se Dobarah Nikah Karne Ke Liye Halala Ki Zaroorat Hai. Halala Ye Hai Ke Pahle Shauhar Ki Iddat Guzarne Ke Ba?d Kisi Sunni Sahihul Aqeedah Mard Se Us Aurat Ka Nikah Ho. Phir Woh Dosra Shauhar Hambistari Bhi Kare. Phir Agar Woh Dosra Shauhar Talaq De De Ya Wafaat Pa Jaaye To Phir Is Talaq Ya Maut Ki Iddat Guzare. Iddat Guzarne Ke Ba?d Ab Pahle Shauhar Se Nikah Ho Sakta Hai. Agar Dosra Shauhar Hambistari Na Kare Aur Talaq De De To Halala Nahi Hua. Halala Ke Liye Hambistari Zaroori Hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button