Masail
Hazrat Agar Koi Humko Agarbatti De Ya Loban De Khushi Se Ya Taufa De Toh Lena Chahiye
Ya Fir Usko Paisa Deke Lena Chahiye. Phele Ke Buzurg Ka Khena Hai Ke Paise Deke Lena Chahiye? ANSWER Halal Cheezo Ka Kisi Ko Tohfa Dena Sunnat Hai. Aur Agarbatti Lobaan Wagairah Bhi Halal Ashya Me Se Hain. Unhe Bhi Tohfatan Dene Me Harj Nahi. Agar Koi Tohfe Me De Use Lene Me Bhi Harj Nahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—