Masail
Insha’Allah mera irada umrah pe jane ka hai
To mujhe yeh puchna hai ke jab hum e yaha se ehram pahen liya. To use umrah ke baad hi ikala jata hai. Itna zyada waqt yaha se aur umrah muqammal karne me lagta hai. To hum zaruryat se kaise farig honge. Kya toilet me jane se pehle ehram ikala ja sakta hai? Rehnumai farmaye Jawab: Ehram ke kapde ko change kiya ja sakta hai. Isi tarah zarurat ke waqt use utaar bhi sakte hain. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—