Masail

Itna Baarik Kapda Jisse Badan Chamakta Ho Usse Namaz Padhi.

To Namaz Ka Kya Hukm Hoga? ANSWER Namaz Na Huyi. Itna Baarik Kapda Jis Se Badan Chamakta Ho Satrr Ke Liye Kaafi Nahi. Us Se Namaz Padhi To Na Huyi. Yoonhi Agar Chaadar Me Se Aurat Ke Baalo Ki Seeyaahi Chamke Namaz Na Hogi. Baaz Log Baarik Saadiyaa?n? Aur Tahband Baandh Kar Namaz Padhte Hai Ki Raan Chamakti Hai. Un Ki Namaaze Nahi Hoti Aur Aisa Kapda Pahanna Jisse Satrre Aurat Na Ho Sake Alaawa Namaz Ke Bhi Haraam Hai. Reference Bahar-E-Shari?At Hissa Teesra Safa 37 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button