Jab Bachcha paida hota to uska Chatti chilla karte hai? Iska shariyat me kya hukum hai.
Jawab: Bachche ki paidaish ke saatwen 7 din uska aqeeqa kiya jaye. Uske sar ke baal chilwa diye jayein aur un baalon ke wazan ke barabar chandi, ya uski raqam (gar isteta’at hoto) sadqa karein. Aur ladka ho to do (2) bakre aur agar ladki ho to Ek (1) bakri zabah karein aqeeqe ke taur pe. Sab ko khilaaye, garibon ka khaas khyal rakhein. Tamaam rishtedaron ko khila sakta hai. Yeh jo log kahte hai ke aqeeqa ke janwar se bache ke maa baap, daada daadi, aana aani ahi khaa sakte. Jahilon ki kahawat hai. Balke sabhi khaa sakte hai aur khila bhi sakte hai. Aisa karna Sunnat e Rasool ﷺ ? hai. Lekin log apni isteta’at ke mutabiq chatti chilla ke ame pe kabhi bhi yeh rasm ada karte hai. Wo bhi jayez hai. Jab chahein karein koi saatwen (7) din hi karna hai aisa zaroori ahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—