Khade Hokar Peshab Karna Kaisa?
Jawab: Hadis- Ummul Moominin Siddikaa Razi Allaahu Taalaa Anhaa Farmati Hain Ki Jo Tum Se Kahe Ki Huzoore Akdas ? Khade Hokar Peshab Farmaate Use Sachcha Na Janna, Huzoor Peshab Na Farmaate The Magar Baith Kar! Tirmizi Sharif Hadis- Amirul Moominin Farooqe Azam Raji Allaahu Taalaa Anhu Rivaayat Karte Hai. Rasulullaah ? Ne Mujhe Khade Hokar Peshaab Karte Dekha Farmaya- Aye Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ! Khade Hokar Peshab Na Karo, Us Din Se Maine Kabhi Khade HoKar Peshab Na Kiya! Baihaqi Sharif Hadis- Rasulullaah ? Ne Khade Hoker Peshab Karne Se Mana farmaya! Ibne Maajah Hadis- Teen Baatein Jafaa Wa Be-Adbi Se Hain! 1- Yah Ki Aadmi Khade Ho Kar Peshab Kare! 2- Yah Ki Namaz Me Apni Peshaani Se (Mitti Ya Pasina) Ponchhe! 3- Yah Ki Sajda Karte Waqt Phooke! Musanad Bajjaar In Ahadees Se Malum Hua Ki Khade Hokar Peshab Karna Ilshaadaate Rasul Ki Khilaaf Warji Aur Hukme Shara Se Muh Modnaa Hai ! FATAWA RAZVIYA, Jild 2, Safa 146-147 n?Peshaab Ke Chhinte? Quam-E-Bani israil Me Peshab Ke Ehkaam Bade Sakht The! Us Qaum Me Agar Jism Ke Kisi Hisse Par Peshab Ke Chhinte Lagte To Jism Ki Utni Chamadi Kaat Kar Nikaal Di Jaati Thi! Allaahu Akabar? Hadis Sharif Me Hai Ki Qabr Me Aksar Azaab Peshab Ke Chhinton Se Nahi Bachne Ke Karan Hota Hai! Wo Bhai Bahan Is Masail Se Ibarat Le Jo Istinjaa Khane Me Aur Digar Makamat Me Peshaab Ke Chhinton Se Nahi Bachte! Khaasakar Hamare Navjavan Jo Bade Hi Chust Kapade Pahante Hai Aur Istinjaa Ke Wakt Khade-Khade Faarig Ho Jaate Hai! —
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—