Masail
Khula Ke Baad Bachche Kiske Paas Rahenge Shauhar Ke Paas Ya Bachcho Ki Maa Ke Paas.
Bachche Chhote Hai. Unki Parwarish Ka Kharcha Kis Par Hoga. ANSWER Khula Ke Ba?d Ladka 7 Saal Aur Ladki 9 Saal Tak Maa Ki Parwarish Me Rahenge. Phir Baap Ke Paas Aa Jayenge Aur Agar Ladke O Ladki Ke Paas Apna Maal Naho To. Ladke Ke Baalig Hone Tak Aur Ladki Ki Shadi Hone Tak Unka Nafqah Baap Par Wajib Hai. Aur Agar Iddat Ke Ba?d Maa Ne Kisi Aise Mard Se Nikah Kiya Jo Ladke Ladki Ka Naa Mahram Hai. To Maa Ke Liye Haqq E Parwarish Saaqit Ho Jayega Aur Naani Ke Liye Haqq E Parwarish Hai. Phir Naani Ki Maa Phir Dadi Wagairah. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—