Kisi Ghar Me Agar Inteqal Hojaye To Wo Ghar Wale Ko Khana Waghira Banane Se Kyu Mana Kiya Jata Hai? Iski Kuch Sharayi Wajah Hai?
ANSWER Bahut Mumkin Hai Keh Us Din Ghar Me Inteqaal Ke Sabab Ghar Walon Ko Khana Banane Me Dushwari Ho. Gham Ki Wajah Se Khana Na Banane Par Bhuke Rahne Ka Andesha Ho Is Wajah Se Agar Koi Unke Liye Khana Tayyar Kare To Woh Khud Na Banaaye Aur Logon Ke Liye Ye Sunnat Bhi Hai Ke Unke Liye Khana Bheja Jaaye. Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi Irshad Farmate Hai Pahle Din Sirf Itna Khana Ke Mayyit Ke Ghar Walo Ko Kaafi Hai Bhejna Sunnat Hai. Isse Ziyada Ki Ijazat Nahi, Na Dosre Din Bhejne Ki Ijazat, Na Auron Ke Waste Bheja Jaaye Aur Na Aur Us Me Khaaye. n(Fatawa Razviyyah Kitaabul Janaayez) Haan Agar Koi Bhi Khana Bhejne Wala Nahi Aur Mayyit Ke Ghar Wale Khud Hi Khana Bana Le To Is Me Harj Nahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—