Masail

Masjid E Nabvi Sharif ki Hajiri ke waqt Mushq Khusbu lagana Kaisa Hai?

Masjid E Nabvi Sharif ki Haajiri ke waqt Mushq Khusbu lagana Kaisa Hai? Masjid E Nabvi Sharif ki Haajiri se pahle Tamaam Jaruriyaat se jinka lagaav dil batne ka baais (sabab) ho ihayat jald faarig ho. Unke siwa kisi bekaar bato me mashgul a ho, fauran wazu wa Miswaq karo aur Ghusl behtar hai. Safed Paakiza kapde pahno Aur aye behatar hai. Surma Aur khusbu lagao aur Mushq Afzal hai. Ab Aastana e Aqdas ki Nihayat khushu wa khuzu se mutawajjh ho. Rona Na Aaye to rone ka muh banao Aur dil ko joor se Rone par Laao Aur Apni Sang dili se Rasoolullah ﷺ? ki taraf iltija karo. Jab masjid e Nabvi sharif ke darwaje par haajir ho. Salaat (Darood) wa Salaam Arz kar ke thoda tharo jaise Sarkar E do Aalam ? se hajiri ki izazat maangte ho. Phir bismillah kah kar seedhaa paanv pahle Rakh kar khub adab ke saath daakhil ho. Us waqt jo Adab wa taazim farz hai har musalman ka dil jaanta hai. Aankh, kaan, jabaan, haath, paanv, dil, sab gair ke khyaal se paak karo masjid e Aqdas ke Naksh wa Nigaar a dekho. Agar koyi Aisa Saamne Aaye jisse salam kalaam jaruri ho. To jaha tak bane katra jaao warna jarurat se jyaada a badoh phir bhi dil sarkar hi ki taraf ho. Hargiz-Hargiz masjid e Aqdas me koyi Harf (Baat) Chilla kar a kaho. Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 136 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button