Masail

Nikah dusri country me ho raha hai, aur nikah ke baad 10 din wahi rukne ka irada hai.

Hum chahte hai ke walima India aane ke 2-4 din ke baad ho. To isme shab e zufaf ke baad poore 15 din guzar jayenge. To kya aisa kar sakte hai, ya Phir shab e zufaf ke baad wahin per walima karna hoga. Jawab: Shab e zufaf ke ba’ad wale din, ya uske ba’ad wale din wahin walima kar len. Walima ki sunnat ada ho jaayegi aur india aane ke ba’ad agar chahein to shaadi ki khushi mein dawat kar sakte hain, is mein harj ahin. Magar ise walima ahin kahenge. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button