Masail

Valentine?s Day Manana Kaisa?

ANSWER Kaha Jata Hai Ke Valentine Ek Padri Ka Naam Tha. Jise Ek Rome Badshah Ne Qaid Ki Saza Di Thi. Aur Wo Padri Us Badshah Ki Beti Ka Ashiq Ho Gaya Aur 14 Feb Ki Raat Usne Uske Saath Guzarne Ki Khwaish Zahir Ki Aur Use Phansi Dedi Gayi. Usi Baat Ko Aaj Dunia Me Aam Kiya Ja Raha Hai Aur Fuhaashi-O-Uryaniyat Aam Ho Rahi Hai. Is Din Jawan Ladke Ladkiya Ghoomte Phirte Aur Bahot Haraam Kaamo Ko Anjaam Dete Hai. Jab Ke Islam Ne To Aurat-O-Mard Ko Hukm Farmaya Hai Ke Wo Apni Nazre Neechi Rakhe. Apni Sharmgaho Ki Hifazat Kare. Ye Din Manana Aur Ise Urooj Dena Haraam Kaam Ko Badawa Dena Hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button