Wahabi deobandi gair muqallid wagairah se aam awaam ka behas karna kaisa hain ?
Jawab: Awaam ko unse bahas karne ki ijazat ahi. Balkeh ahl e ilm bhi unse khaah makhaah bahas karne se bachein, unse bahas karne se koi faaidah ahin hai is liye keh quran o hadees se saabit hai keh woh log islam ki taraf palat kar ahin aayenge. Hadees shareef mein hai Hazrat e abu sa’eed khudri se riwayat hai keh rasoolullah ﷺ e irshad farmaya. n”mashriq se kuch log amoodaar honge quran kasrat se padhenge lekin unke halaq se eeche ahin utrega deen se aise ikal jaayenge jaise teer ishana ko paar karke ikal jaata hai phir deen mein laut kar wapas ahin aayenge jab tak teer laut kar apne challe par a aa jaaye arz kiya gaya unki alamat kiya hogi? Farmyaa sar mundana ya sar mudaye rakhna” n(Bukhari shareef jild 2 safah 1128 kitaburrad alal jahmiyya) Is hadees shareef se saaf zaahir hai keh woh log islam ki taraf ahin lautenge Aur chunkeh inke aqaaid bhi ahl e risalat ke munaafiqo ki tarah hain to ye log quran hakeem ki is aayat ke bhi misdaaq hain 2-Al-Baqara : 18 Translation: Bahre goonge andhe to woh phir aane wale ahin n(Kanzul imaan) Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi se sawal hua ke n”ye dua karna ke Allah wahabiyo ko hidayat kare jaayez hai ya ahin” Iske jawab mein irshad farmate hain Wahabiya ke liye dua fuzool hai unke liye aa chuka hai wahabi kabhi laut kar a aayega aur jo hidayat paa jaaye woh wahabi a tha ho chala tha n(Almalfooz hissa 3 safah 36) IN IBARAAT SE SAABIT HUA KEH WOH LAUTNE WALE NAHIN. LIHAZA UNSE BAHAS BILKUL FUZUL HAI AUR IS MEIN KOI FAAIDAH NAHIN Hamare kuchh sunni hazraat kahte hain keh ham to sunni hain hamara kuch ahin bigdega unse, Halankeh Hamein hukm hai keh imaan chale jaane ka har waqt khauf rakhna chahiye Aaj hamari awam be dharrak unse bahas o mubasah mein lag jaati hain aur pichhle zamaane mein ulama bhi unse bachte the. Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi se sawal hua ke n”mutasallib sunni ko ie’teraaz ki azar se khubasa ki kitaabein dekhna jaayez hain ya ahin” Iske jawab mein irshad farmate hain Faqat mutasallib hona kaafi ahin balkeh aalim ho, poora maahir ho, wasee’ azar ho, iske saath mutasallib sunni bhi ho, kiya ie’temaad rakhta hai apne afs par? aur jo apne afs par ie’temaad kare us e bade kazzaab (bahut bade jhoote) par ie’temaad kiya. n(Almalfooz hissa 4 safah 18) DOSRI JAGAH HAI Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi irshad farmate hain Imam sa’eed ibn e jubair raasta mein tashreef liye jaate the ek badmazhab mila imam se kaha main kuchh arz karna chahta hun farmaya main sunna ahin chahta. Usne kaha sirf ek baat, aapne chhungliya ke pahle pore pe angootha rakh kar farmaya aadhi baat bhi ahin sununga logo e sabab poochha farmaya phir farmaya akabir ki to ye haalat hai. aur ab ye haalat hai keh jaahil sa jaahil juta parrta hai aariyon se wahabiyon se, aur kuchh khauf ahin karta. Jo tamam funoon ka maahir ho tamaam pech jaanta ho, poori taaqat rakhta ho, tamam hathiyaar paas hon, usko bhi kiya zaroor keh khwah makhwah bhediyon ke jangal mein jaaye. Haan agar zaroorat hi aa pade to majboori hai Allah par tawakkul kare in hathiyaaron se kaam le n(Almalfooz hissa 4 safah 3) Sarkar e aqdas e hamein hukm farmaye hai keh unse door raho to unse door rahne mein hi hamare imaan o aqeede ki hifazat hai Hadees shareef mein hai Hazrat e abu hurairah رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se riwayat hai keh rasoolullah ﷺ e irshad farmaya: Aakhiri zamane mein kuchh farebi jhoote paida honge jo tumhare paas aisi baatein le kar aayenge jin ko a tum e suna hoga a tumhare baap dada e to unse door bhago aur unhein apne se door rakho kahin woh tumhein gumraah a kar den kahin woh tumhein fitne mein a daal den. n(Muslim shareef jild 1 safah 10) Dekhiye gaib daan abi ﷺ Sarkar e aqdas farma rahe hain keh woh log tumhare paas aisi baatein laayenge jo a tum e suni hai a tumhare baap dada e, Is zamane mein dekh lijiye keh badmazhab apni badmazhabi ki baat hamare paas laa rahe. Sarkar e aqdas ka farmaan harf ba harf sahih aur iske aage hi Sarkar e aqdas e hamein hukm farmaya keh unse door bhago aur unko door bhagaau is par hamara amal kamzor hai. Sarkar e aqdas ke is farmaan mein kitni hikmate hain jo ahl e ilm pe posheedah ahin. Farmaya unko door bhagaao khud door bhago isko is misal se samajhiye keh aap ke saamne saanp aa jaaye to aap pahle koshish karenge keh usko bhaga de ya maar de. Magar woh taqatwar ikla aur qareeb hai ke aap par hamla kar de to ab yahan ek hi soorat bachegi keh khud bhaagein. To hadees shareef ka mafhoom ye hua keh agar aap ke paas badmazhab aaye to usko bhagaiye kisi bhi tarah se use apne qareeb a aane den aur agar kisi tarah woh musallat ho jaaye to ab imaani farz ye hai keh khud ko usse door bhag aayein. YAAD RAKHIYE KEH SARKAR E AQDAS HAM IMAAN WALE SUNNIYO KO HUKM FARMAYE HAIN KEH UN SE DOOR RAHEIN KEH IMAAN KI DAULAT HAMARE PAAS HAI Hadees shareef ka ye mafhoom ahin keh badmahabon se kaha gaya ho keh tum sunniyo ke paas mat jaana BALKEH HAM KO YE HUKM HUA KEH UN SE DOOR RAHEIN Woh to insaani shaitaan hain woh chahte hain keh aap se mel jol rakhe aur is tarah hamra imaan cheen le, unki madad ke liye jinnat ke shaitaan ki poori fauj bhi hai aur har waqt hamare imaan ko lootne ke firaaq mein hai. Allah hamein maslak e haq maslak e ahl e sunnat o jamat jisko pahchhan ke liye is zamane mein maslak ala hazrat kahte hain is maslak par mazbooti se qaaim rakhe aur isi maslak pe maut ata farmaye. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—