Masail
Zaid Jab Hajj Ko Gaya Tha To Waha Usne Dekha Ke Kuch Haaji Apne Chappal Ko Dhokar Fir Kapde Ki Theli Wagairah Me Daal Kar Masjid E Haram Me Umrah Ya Tawaaf Karte The.
Unka Kehna Tha Ke Aise Hamare Chappal Gumte Nhi Or Hum Dusro Ke Bhi Nahi Pehente. To Kya Aisa Karna Durust Hai? Dhoye Huye Chappal Ke Sath Tawaf Karna Be-Adbi Hogi? ANSWER Agar Chappal Wagaira Is Tarah Liya Ho Ke Us Se Be-Adabi Hoti Ho To Usse Bacha Jaaye Warna Tawaaf Bahar Haal Ho Jayega. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—