Masail

Zaid Sarkari Sharab Ki Dukan Ka Manager Hai Or Usko Sarkar Ke Zariye Salary Milti Hai.

To Zaid Ke Yaha Dawat Ka Khana Khana Kaisa Hai. Agarche Malum Ho Or Zaid Ka Apne Ghar Per Milad Karna Or Uski Shirni Ka Kiya Hukm Hai. ANSWER Kisi Shaks Ke Makaan Pe Khaane Ka Mauqa Ho Aur Uska Zariya E Aamdani Halal Bhi Ho Aur Haraam Bhi To Aisi Surat Me Uski Kamaai Ke Gaalib Hisse Ka Etebaar Hoga. Agar Uski Aamdani Ke Zariye Ka Aksar Hissa Halaal Ho To Uska Khana Durust Hai. Haan! Yaqini Taur Par Ma?loom Ho Ke Jo Kuch Laaya Gaya Hai Iske Liye Haraam Kamaayi Ki Raqam Hi Istemaal Ki Gayi Hai To Khana Jayez Nahi Hai. Isi Tarah Uski Amdani Ka Aksar Hissa Haraam Zariye Hasil Hua Ho To Khana Jayez Nahi. Magar Ye Ke Saahib E Khaana Saraahat Kar De Ke Us Ne Halal Amdani Ka Khana Tayyar Kiya Hai. Tab Khaane Me Koi Harj Nahi. Lehaza Jiski Amdani Poore Taur Par Haraam Hai. To Uske Yahan Khana Najaayez O Haraam Hai. Magar Ye Ke Wo Khud Wizaahat Karde Ke Maine Ye Khana Jayez Halaal Amdani Wale Bhai Ki Kamaai Se Mangwaaya Hai. Wa-Allahu Ta?ala A?lam n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button