Masail

Hamari masjid me zohar aur asar ki namaz mouzan sahab padhate hai.

Lekin unko tajweed se quran ki tilawat ahi ati, wo kabhi kabhi fajar bhi padhate hai. Unke alfaz me kuch galtiya thi maine islaah ke liye unhe bataya. Magar wo apni zid par hai aur rozana amaz padha rahe hai. Kya unke piche amaz ada karne se amaz ada hojayegi, ya us amaz ko dohrana hoga? Jawab: Wahi Imam Laayeq e Imamat hai Jo Tajweed O Makharij e Huroof ka Lehaaz Karta ho. Agar Imam Ki Qirat Aisi hai ke fasad e Ma’na ki wajah se Namaz Fasid hone ka Andesha hai to Use Imam Na Banaya jaaye. Aur Agar Imam ki Qirat Is Hadd tak Durust sahi hai ke Namaz me kisi tarah ka fasad lazim ahi aata to Uske peeche tamam logo ki Namaz durust hai. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button