Masail
Kisi Sunni Masjid Main Jumma Padhne Gaya. To Dekha Ke Imam Fasiq Hai
Yani Daarhi Katane Walo Main se Hai Aur Unki Daarhi Choti Choti. To is Surat Main Kya Majbooran Unki Imamat Main Jumma ki Namaz Ada Ki Jasakti Hai ? Jawab: Agar Jumuah Ki Namaz me Khateeb Fasiq Ho aur Us Masjid ke Siwa Koi Aisi Masjid Wahan Nahi Ke Jahan Gair Fasiq Jame e Sharaait e Imamat Imam Ho to Us Fasiq ke Iqteda Me Jumma Ada Kar Le Aur Baad me Zohar e Ehtiyaati Bhi Parh Le. Magar Jumma Na Chhore. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—