Masail
Imam Sahab Ya Muqtadi Ke Shirt Ya Kurte Ke Upar Ke Do Button Chaati Tak Khule Hue Hai.
Lekin Andar Me Banyan Pehna Hua Hai. Jisse Gardan Tak Ka Hissa Pura Dhaka Hua Hai To Kya Is Surat Me Ke Jab Do Button Khule Hue Ho To Namaz Ho Jayegi? Is Tarah Agar Button Khule Hue Hai. Lekin Dadhi Itni Lambi Hai Ke Khule Hue Chaati Dhak Gaye To Namaz Ho Jayegi? Jawab: Do Button Khule Hai, Magar Baniyan Wagairah Se Seena Dhaka Hai. To Is Soorat Me Namaz Ho Jayegi. Aur Agar Baniyan Wagairah Kapde Se Nahi, Balkeh Daadhi Se Seena Dhaka Hai. To Is Soorat Me Namaz Makrooh Hogi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—