Masail
Ek Alim E Deen Hai Jiske Zani Hona Ba Zahir Hai Aur Maal Bhi Haram Khata Hai.
To Uski Tazim Karna Kaisa Hai? ANSWER Kisi Ke Zaani Hone Ke Suboot Ke Liye 4 Gawaah Aise Darkaar Hai Jinho Ne Is Tarah Dekha Ho Jaise Sui Me Dhaga. Warna Kisi Par Zina Ki Tohmat Lagana Na Jaayez O Gunah Aur Jurm E Azeem Hai. Isi Tarah Maal E Haraam Khana Us Waqt Sadiq Aayega Jab Ke Aqd O Naqd Maal E Haraam Par Jama Ho. Lehaza Khususan Kisi Aalim Par Aisa Ilzam Yu Hi Lagaane Se Parhez Kiya Jaaye. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—