Masail

Abdullah Bin Amr Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai.

Rasool ﷺ-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mere Upar Zafrani Rang (Saffron Color, Bhagwa Rang) Ke Do Kapde Dekhein To Farmane Lage Ye Kuffar Ke Kapdon Me Se Hai Tum Inhe Mat Pehno (Sahih Muslim, Jild 5, 5436) Hazrat Kya Is Hadees Ke Tahat Waise Colour Ke Kapde Nahi Pahanna Chahiye? Chishti Silsile Wale Aksar Yahi Colour Istemal Karte Hai. Wazahat Farmaye. Jawab: Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah Irshad Farmate Hai. Kusum, Ya Za?fraan Ka Ranga Hua Kapda Pahanna Mard Ko Mana Hai. Gehra Rang Ho Ke Surkh Ho Jaaye, Ya Halka Ho Ke Zard Ho Jaaye, Dono Ka Ek Hukm Hai. Aurato Ko Ye Dono Qism Ke Rang Jaayez Hai. In Dono Rango Ke Siwa Baaqi Har Qism Ke Rang Zard, Surkh, Dhani, Basanti, Champeli, Narangi, Wagairah Mardo Ko Bhi Jaayez Hai. Agarche Bihtar Ye Hai Keh Surkh Rang (Laal Rang), Ya Shokh Rang Ke Kapde Mard Na Pehne. Khususan Jin Rango Me Zanana Pan Ho Mard Usko Bilkul Na Pahne. Aur Ye Mumana?at Rang Ki Wajah Se Nahi. Balkeh Aurato Se Tashabbuh Hota Hai, Is Wajah Se Mumana?at Hai. n(Bahar E Shari?at Hissa 16 Safah 52) Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi Irshad Farmate Hai. Aurat Ko Har Qism Ka Rang Jaayez Hai. Jab Tak Ke Us Me Koi Nijasat Naho Aur Mard Ke Liye Do Rango Ka Istisna Hai Mu?asfar Aur Muza?far. Yani Kusum O Kesar, Ye Dono Mard Ko NaJaayez Hai. (Yani Kusum O Za?faraan Se Ranhmga Hua Kapda) Aur Khaalis Shokh Rang Bhi Use Munasib Nahin n(Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 76 Nisf Aakhir) n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button