Masail
Agar Charaai Ke Jaanwar Aise Hai Ki Unko Pura Din Baandh Kar Hi Rakha Jaata Hai
Aur Unko Chaara Laa Kar Khilaya Jaata Hai. Aur Inka Maqsad Doodh Haasil Karna Hota Hai. To Agar Aise Jaanwar Ki Tadad Jo Taadad Zakat Ke Kiye Mukarrar Hai Uss Tak Ho. To Kya Uss Par Zakat Hogi? Jawab:: Agar Charaai Ke Janwar Nahi Hain. Yaani wo Jangal Wagaira Me Khule Nahi Charte to Unki Zakat Nahi. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—