Masail
Agar Imam Ke Piche Ek Rakat Choot Jaye Toh Hame Sana Padni Hai Ya Nahi Or Agar Padni Hai Toh Kab Pade?
Jawab: Agar Imam Ne Abhi Qirat Shuru Nahi Ki Hai, To Wo Sana Parh Sakta Hai. Isi Tarah Agar Imam Ruku Me Hai Aur Yaqeen Hai Ke Sana Parh Kar Imam Ko Ruku Me Pa Lega, To Bhi Sana Parh Le. Warna Baad Me Jab Apni Baqiya Rakat Parhe To Uske Shuru Me Sana Parh Le. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—