Masail

Agar Kisi Ne Namaz Me Sirf Ek Sajda Kiya Or Phir Yaad Aaya Ke Ek Hi Sajda Kiya.

To Sajda Sahw Karna Hai. Ya Fir Namaz Daurani Padhegi. Isi Tarha Hi Agar Kisi Ne 3 Sajde Kiye To Uska Kya Hukam? Jawab: Agar Use Namaz Wala Sajda Aakhir Me Yaad Aaya To Woh Namaz Wala Sajda Kare. Phir Tashahhud Padhe, Phir Sajda E Sahw Kare, Phir Tashahhud O Durood E Ibrahimi O Dua E Masurah Ke Baad Salaam Phere. Huzoor Sadrushshariah Badruttariqah Irshad Farmate Hai. Kisi Rakat Ka Koi Sajda Rah Gaya Aakhir Me Yaad Aaya To Sajda Karle. Phir Attahiyat Padh Kar Sajda E Sahw Kare Aur Sajda Ke Pahle Jo Af?aal E Namaz Ada Kiye Baatil Na Honge. Haa Agar Qa?dah Ke Baad Woh Namaz Wala Sajda Kiya,To Sirf Woh Qa?dah Jaata Raha. n(Bahar E Shari?at Hissa 4 Sajda E Sahw Ka Bayan) Aur Agar Kisi Ne Ek Rakat Me Bhool Kar Teen Sajde Kiye Woh Bhi Aakhir Me Sajda Sahw Kare. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button