Masail

Agar Koi Quran Sharif Ki Tilawat Oonchi Awaaz Me Kar Raha Ho To Hamein Sunna Farz Hai?

Aur Agar Hum Masjid Me Quran Sharif Ki Tilawat Kar Rahe Ho Aur Usi Masjid Me Koi Aur Ya Imam Sahab Bhi Tilawat Zor Se Kar Rahe Ho. To Kya Hamein Apni Tilawat Rok Kar Unki Tilawat Sunna Hoga. Ya Hum Apni Tilawat Kar Sakte Hai? Aur Agar Imam Sahab Mic Par Tilawat Kar Rahe Ho Tab Bhi Hamein Apni Tilawat Rok Kar Unki Tilawat Sunna Hoga? ANSWER Jaha Ek Se Zaayed Hazrat Tilawat Kar Rahe Ho To Sab Par Ahista Tilawat Karna Wajib Hai. Aisi Jagah Awaz Se Tilawat Karne Wala Gunahgar Hoga. Aur Agar Koi Tanha Tilawat Kar Raha Ho Aur Awaz Se Parhta Ho To Dosre Shaksh Par Khamosh Reh Kar Sunna Wajib Hai. Mic Ki Awaz Agarche Asl Awaz Nahi Magar Ehteram Isi Me Hai Ke Khamoshi Se Tilawat Suni Jaaye. n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button