Masail
Agar Najasate Galiza Badan Ya Kapde Par Lag Jaye To Kya Hukm Hai?
ANSWER Agar Najasate Galiza Ek Diraham Se Zyada Lag Jaye. To Uska Paak Karna Farz Hai. Ki Bagair Paak Kiye Namaz Pa?hli To Namaz Hogi Hi Nahi Aur Agar Najasate Galliza Ek Dirham Ke Barabar Lag Jaye To Uska Paak Karna Wajib Hai. Ki Bagair Paak Kiye Pa?hli To Namaz Makrooh Taharimi Hui. Yani Aise Namaz Ka Dobaara Pa?hna Wajib Hai. Aur Agar Najasate Galiza Ek Diraham Se Kam Lagi Hai To Uska Paak Karna Sunnat Hai. Ki Bagair Paak Kiye Namaz Pa?hli To Ho Gayi Magar Khilafe Sunnat Hui. Aise Namaz Ka Dobara Pa?hna Behtar Hai. Bahaare Shariat Anware Shariat Hindi P39
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—