Balo Me Black Colour Ke Alawa, Koi Dusra Colour Lagana Kaisa?
Jawab: Kaale Rang Ke Ilawah Har Tarah Ke Rango Se Baal Daadhi Rang Sakte Hai. Kaale Rang Se Baal O Dadhi Rangna Haraam Hai. Hadees Shareef Mein Hai. Sarkar E Aqdas Irshad Farmate Hai. Jo Siyaah Khizaab Kare Allah Roz E Qiyaamat Uski Taraf Nazr E Rahmat Na Farmayega n(Fatawa Razviyyah Jild 9, Safah 31, Hissa 1) Ek Aur Hadees Shareef Mein Hai. Ke Jo Siyaah Khizaab Kare Qiyaamat Mein Allah Uska Munh Siyaah (Kaala Karega) n(Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 105 Hissa 2) Aala Hazrat Azeemul Barakat Saiyyiduna Imam Ahmad Raza Fazil E Barailvi Irshad Farmate Hai. Siyaah Khizaab (Kaale Rang Se Rangna) Mutalaqan Haraam Hai. Shahid E Adal Hai Aurat Ziyaadah Iski Muhtaaj Hai Ke Shauhar Ki Nigaah Mein Aaraasta Ho Jab Use Ye Umoor Tagauur E Khalqillah Ke Sabab Haraam O Mujib E La?nat Huye To Mard Par Badarja E Aula. n(Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 192 Hissa 2) Lihaza Kaale Rang Se Baal O Daadhi Rangna Mard Ko Jayez Nahi Aur Aurat Ko Bhi Kaale Rang Se Baal Rangna Jayez Nahi Aur Jis Mehendi Se Kaala Rang Chadhta Ho Woh Bhi Jayez Nahi. Mujaahid Ke Liye Kaale Rang Ki Ijazat Hai. Iski Poori Tafseel Fatawa Razviyyah Jild 9 Safah 30/31/32/33 Pe Mulahzah Kare. Aur Aise Rang Se Bhi Bachein Jo Waza E Fussaaq O Fujjar Ho. n
—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—