Masail

Biddat Kya Hai?

Istilahe Shara (Islami Boli) Mein Biddat Aisi Cheez Ke Ijaad Karne Ko Kehte Hai. Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zahiri Zamane Mein Na Ho, Khwah Woh Cheez Deeni Ho, Yaa Duniyawi. Ashi’atul Lamaat Jild Awwal Safa 125 Biddat Ki 3 Qisme Hai. n(1) Biddat E Hasna n(2) Biddat E SayyeAa n(3) Biddat E Mubaah Biddat E Hasna – Wah bidat hai jo Quran Wa hadees ke wasul wa Qawaaid ke Mutabik ho Aur Unhi par Qiyas kiya gaya ho. Uski 2 Qisme Hai. Awwal Biddat E Waajiba – Jaise Quran wa hadees Samajhne ke liye Ilm e ahw ka seekhna Aur Gumraah phirke maslan khaarji, Raafji, Qadyaani Aur wahabi Wagairah par Radd ke liye Dalaayi Kaayam Karna. Dosra Biddat e Mustahabba – Jaise Madarso ki taamir Aur har wah ek kaam jiska Rawaaj ibtidaa-e-zamaana me ahi tha. Jaise Azaan ke baad Salaat Pukarna. Durre Mukhtar Baabul Azaan me hai ki Azaan ke baad Assalatu Wa Sallamu Alaik Ya Rasoolullah ﷺ ? Pukarna Maahe Rabi-Ul-Aakhir San 781 Hijri me jaari huwa Aur Yah biddat e Hasna Hai. Biddat e sayyeAa – Wa biddat hai Jo Quran wa Hadees ke Usul wa Qawaid ke Mukhtalif ho. Biddat e SayyeAa ke 2 Qisme Hai Awwal Bidat e Muharram – Jaise Hindustan ki Mukhajja Taajiyadari.(Fatawa-E-Aziziya Risala Taajiyadaari Aala Hazrat) Aur Jaise Ahle Sunnat wal jama’At ke khikaaf Naye Aqeede waalo ke Mjaahib. AshiAtullm Aat jild Awwal Safa 125 Dosra Biddat e Makrooha – Jaise Jumma wa Eidain ka Khutba Gaire Arbi me Padna. Biddat e Mubaah – Jo Cheez Huzoor ﷺ ke jaahiri zamana me aho Aur jiske karne a karne par Sawab Wa Azab aho use biddat e Mubaah Kahte Hai. Jaise khaane peene me Kushaadgi Ikhtiyar karna Aur Rail gaadi wagairah me Safar karna. Anwaare Shari’At Safa 21, 22 n

—
Khalifa-e-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim – Dar al-Ifta Ridawi Amjadi
—

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button